Kyon naa hum-tum Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re Chal bhatak le na baawre Kyun na hum tum Phire jaake almast pehchaani raahon ke pare Chal bhatak le na baawre Inn timtimati nigaahon mein Inn chamchamati adaaon mein Luke huey, chhupe huey Hain kya khayaal baawre
Kyun naa hum-tum Chale zindagi ke nashe mein hi dhut sarphire Chal bhatak le na baawre Kyun na hum tum Talashein bageechon mein fursat bhari chhanv re Chal bhatak le na baawre
Inn gungunati fizaaon mein Inn sarsarati hawaaon mein Tukur-tukur yun dekhe kya Kya tera haal baawre
Naa lafz kharch karna tum Naa lafz kharch hum karenge Nazar ke kankadon se Khamoshiyon ki khidkiyan yun todenge Mila ke mast baat phir karenge Naa harf kharch karna tum (harf means "Akshar" a letter) Naa harf kharch hum karenge Nazar ki syaahi se likhenge Tujhe hazaar chitthiyaan khamoshi jhidkiyaan (Jhidkiyaan means Scoldings) Tere pate pe bhej denge
Sun khankhanati hai zindagi Le Humein bulati hai zindagi Jo karna hai woh aaj kar Naa isko taal baawre Aha ha
Kyun na hum tum Chale tedhe-medhe se raston pe nange paanv re Chal bhatak le na baawre Kyun na hum tum Phire jaa ke almast pehchani raahon ke pare Chal bhatak le na baawre Inn timtimaati nigaahon mein Inn chamchamaati adaaon mein luke huey, chhupe huey Hai kya khayaal baawre